Mai ek simple lady I got lots of inspiration from other ki muze bhi apni life mai kuch karna hai aaj uski chhoti si suruwat karti hum mai apne is chhote se blog se jisa shirshak jaisa ki maine rakha hai MAA
MAA, ye ek teen akshar hai jisme puri duniya samajati hai ,maa ye wo sabd hai jo her ek insaan ke juban per jadda hai , mere liye maa wo hai jiska ehsas muze tab hua jab mai khud ek maa bani ,aur uske baad jana ki maa ka matlab kya hai ,hum sab ko ek maa ko samaz na hoga kaise uski dil le baat ko jana hoga .
Ek bachche ka janam hota hai, aur wo nya janma bachcha jo is duniya mai kisi ko nahi janta aur rota hai bus ek sparsh se uska rona band hojata hai wo sparsh hai uski maa ka bina dekhe wo jaan jaata hai ki wo jiske chaao mai hai wo usko kuch nahi hone degi.
Maa apne bachche ke liye apna sarvasv luta deti hai ek bachche ko palne ke liye apni neend ka apne khane tak ka parityag kar deti hai aur ek samya aane per hum apni maa ko he bhul jate hai ,han mai bhi ek maa hun aur mera bachcha meri jaan hai mai usko is duniya ki sari kushi dena chahti hu aur muze pata hai mai usse wo sab dungi jo uski jarurat,kyu kyuki muze meri maa ne wo sab diya jo muze chaheye tha .her maa apne bachche ka jeevan safal banana chati hai ,humare kushi mai kush ,aur humare dukh mai dukhi meri ma mazak mai he ek kahawat bolti hai "dhuk jane dukhiya ya ek dukhiya ki maa".
"Putr kuputr sune hai per mata suni na kumata"-isi kahawat ko mata kaikeyi ke liye dusri tarah kolakata hai -"putr , putr he raha mata huyi kumata".But muze nahi smazta unko kumata kyu kahan gya hai unhhone bhi to apne putr ka he bhala socha to phir kaise huyi kumata wo ,chlo jane de do wo satyug ki bate hai humare se pare .
Han mai kya bol rahi thi ki maa ek aise takat hai ko sare dukho ka niwaran karti hai wo hai MAA